close

Important Update – Upload Temporarily Disabled


Dear ApnaTube Users,


Filhaal video upload option temporary disabled hai due to a performance update.


Hamari team isse 24–48 hours me fix kar degi.


Aapka data safe hai — don’t panic.


Keep Sharing, Keep Downloading!


— Team ApnaTube

Strax

Mujhe Lagta Nahi Aage Kuch HogađŸ„șđŸ„ș_

4 Visningar· 08 December 2025
musicalboy
musicalboy
Prenumeranter
0

Kabhi-kabhi zindagi ek aisi mod par laakar khada kar deti hai jahan se aage ka raasta dhundhna mushkil ho jata hai
 Dil thak chuka hota hai, umeedein toot chuki hoti hain, aur aansuon me dooba insaan bas itna hi kehta hai — “Mujhe lagta nahi aage kuch hoga
” đŸ„ș💔

Par sach to ye hai ki isi andhere ke baad sabse zyada roshni hoti hai.
Jise duniya haar samajh leti hai, kabhi-kabhi wahi naya shuruat ban jata hai.
Ho sakta hai aaj tum toot gaye ho
 Par kal tum wahi logon ke liye misaal banoge, jinhone tumhe kamzor samjha.

Zindagi me mushkilein rukawat nahi hoti
 Wo tumhe aur mazboot banane ka tarika hoti hain.
Aaj tum akela mehsoos kar rahe ho, par yaad rakho —
Har tootna, ek naya banne ka signal hota hai. ✹

Agar tum yahan tak padh chuke ho

To comment me likho ❀ “Main haar nahi manunga”
Aur duniya ko dikha do ki tum bhi wapas uthne wale ho đŸ”„

#sad #broken #heart #lifequotes #emotional #pain #alone #hurt #motivational #truth #reality #viral #trending #status

Visa mer

 0 Kommentarer sort   Sortera efter


Strax